Xiaomi Redmi Note 10 Full Specification's | Redmi Note 10 All Specification's |

Xiaomi Redmi Note 10 Full Specification's:

Intro:Redmi Note 10 year of 2020 se confuse karta huwa aa raha hai. Ye Smartphone 2020 se launch hone ka bahana karte karte finally aa hi gaya. And ye Smartphone sahi me some great features ke saath aata hai. Iss series par tin Smartphone launch huwa hai Redmi Note 10, Redmi Note 10 Pro and Redmi Note 10 Pro Max. Aaj hum Redmi Note 10 ke full Specification and overall phone kaisa hai uske baare me discuss karenge.Toh Chaliye Shuru karte hain.
Redmi Note 10


Specification's:Redmi Note 10 Smartphone par Qualcomm ka Snapdragon 678 Processor dekhne ko milta hain Jo Mid Range ke hisaab se bhout achha Gaming ke capable hai. Iss Smartphone par aap heavy applications and cpu demanding task bhi kar sakte hai.

Camera:Redmi Note 10 Smartphone par 48+8+2+2 (Primary+UltraWide+Macro+Depth) Sensors ke saath dekhne ko milta hain. Jo Sahi me bhout hi achha photos nikalkar aati jai iss price poin par. 8MP ke UltraWide sensor se aap 118° ka FOV tak ka photos capture kar paoge. And 2+2 MP ke Macro aur Depth sensors mujhe lagta nhi utna achha kaam ke hai. Iss Smartphone se aap 2K 30FPS tak ka and 1080P/720P 60 FPS tak Videos ko record kar sakte hoo.And haa ispar koi Slow-motion ka feature nhi hai filhal.
Redmi Note 10


Display & Battery:Redmi Note 10 Smartphone par 6.43 Inch ka Full HD+ Super Amoled display dekhne ko milta hai. Jo sahi me bhout hi great hai bcoz iss price category par bhout hi minimum brands Amoled Display provide karta hai. Amoled display hone ki wazah se Gaming and Media consumption par bhi bhout hi enjoyable hoga. Iss Smartphone par 5000MAH ka big Battery dekhne ko milta hain jo 33W ke Fast charger ke saath aata hai. Iska matlab heavy usage hone par bhi ye Smartphone Ek din ka battery backup provide kar dega.
OS:Redmi Note 10 Smartphone Snapdragon 678 ke Saath MiUi 12 dekhne ko milta hain Jo Android 11 Par based hain. And bhout hi jald MiUi 12.5 bhi dekhne ko milega. Fact:MiUi 12.5 par ek unique feature bhi dekhne ko milega jaha par aap system App's ko bhi Uninstall kar paoge.

Connectivity:Redmi Note 10 par Qualcomm Snapdragon 678 dekhne ko milta hain jo ki ek 4G Processor hain Iska matlab ye phone ek 4G Smartphone hain. Aur iss price point par filhal 4G Smartphone hi dekhne ko milega. And iss Smartphone par sabhi Connectivity dekhne ko milta hain jaise Jarrow Scope, Proximity Sensor, Bluetooth 5.0,WiFi 5.0, IR Blaster, Ram Type LPDRX4 and Storage type UFS2.0 dekhne ko milta hain.



Conclusion:Aab baat aati hai Conclusion ka ki aapko ye Smartphone lena chahiye ya nahi. Me aapko bolu ye Smartphone aapko lena chahiye kiyu ki ye Smartphone specs wise really bhout achha hain. Check this Link If you are Interested.....👇👇

[4/64Gb ₹11999]Click Here to Buy
[6/128Gb ₹13999]Click Here to Buy

Post a Comment

0 Comments