Best Smartphone Under ₹8000 | Top 4 Smartphone Under ₹8000 |

 Hey Guyzz aaj hum discuss karenge "Best Smartphone Under under ₹8000" Toh Chaliye Shuru karte hain.....


Position No.1[Micromax In1b]
Intro: Micromax ka In1b filhal online market par dhum macha raha hai. Less than ₹8000 ye Smartphone specs wise really bhout achha hain.
Micromax In1b
Source Flipkart




Specification's: Micromax ka In1b Smartphone ke andar Mediatek ka Helio "G35" Processor dekhne ko milta hain. Jo decent Gaming and heavy apps ko achhe se control kar leta hai.
Camera: Micromax ka In1b Smartphone ke andar aapko 13+2 MP ka depth sensor and 8 MP selfie ke saath dekhne ko milta hain. Is Smartphone par daylight par thik thak photo click ho jata hain par low light me utna achha capture nhi kar pata hain. Micromax ka In1b Smartphone par filhal ek new update bhi aya hai jispar OS improvements ke saath sath Camera UI and Electronic Stabilisation ka bhi update aya hai jisse video bhout hi achhe se stable rehta hai.👇👇
Micromax In1b Camera Samples
Source Flpkart
Display and Battery: In 1b Smartphone par 6.53 inch ka HD+ Display dekhne ko milta hai jo Media consumption ke saath sath Gaming ke liye bhi bhout achha hain. Aur iss Smartphone par 5000 MAH ka big Massive battery dekhne ke liye milta hai jo 10W ke adapter ke sath Type-C cable in the box dekhne ko milta hai jo again Gaming aur Daily basis ke liye enough hain.
OS: Micromax ka In1b Smartphone par Mediatek Octa-Core G35 Processor ke sath Android 10 par based hai. Ispar aapko Micromax ka stock Android dekhne ko milta hai jo aapko bohot hi smooth experience dega. And Micromax ne 2 Years ka Android update ka bhi promise kiya hain, Iska matlab upcoming Android 11 and Android 12 ka bhi update is smartphone par dekhne ko milega
Conclusion: Soo, Agar aapko ye Smartphone purchase karna hai toh niche diya huwa hai waha se purchase kar sakte hai.

[4Gb/64Gb

Position No.2[Realme C11]

Intro: Realme C11 Market par thoda purana hai par phir bhi Top5 ke list par ye second number par aata hai. Realme C11 ka Build quality, look and design, display, camera, battery and performance ko dekhte huwe ye Smartphone sahi me bhout achha hai.

Realme C11
Source Flipkart


Specification's: Realme C11 Smartphone ke andar bhi same Mediatek ka Helio G35 ka Processor dekhne ko milta hain. Jo decent Gaming and heavy apps ko achhe se control kar leta hai.

Camera:Realme C11 Smartphone ke andar aapko 13+2 MP ka depth sensor aur 5 MP Selfie ke saath dekhne ko milta hain. Is Smartphone par thik thak photos capture ho jata hai, Specialy daylight par. Lekin Low light par utna achha capture nhi kar pata hai.👇👇

Realme C11 Camera samples
Source Flipkart

Display & Battery: Realme C11 Smartphone par aapko 6.53 inch ka HD+ display dekhne ko milta hain Jo Media consumption aur Gaming ke liye achha hain. Aur iss Smartphone par 5000 MAH ka big Battery dekhne ko milta hain Jo ki again 1-1.5 din tak aram se battery backup de dega.

OS:Realme C11 Par aapko Mediatek ka Octa-Core G35 Processor dekhne ko milta hain. Ye Smartphone Realme UI 1.0 par hai jo Android 10 par based hai. Dekha jai abhi filhal realme UI 2.0 chal raha hai par phir bhi chalta hai. And realme UI 1.0 par thoda Ads and bloat's-wear bhi dekhne ko milta hain Jo thik nhi hai.

Conclusion:Soo, Agar aapko ye Smartphone achha laga aur ise purchase karna chahte ho toh niche Link hai uspar click karen.👇👇

[2/32Gb ₹7499] Click here

Position No.3[Poco C3]

Intro:Aab No. 3rd Position par aata hai Poco ka C3. Ye Smartphone bhi bhout hi achha hai par Position 1 or 2 se nhi. Iss Smartphone ki overall build quality achha hai par iska look and design utna achha nhi, toh Chaliye aab baat karte hai Specification's ki.

Poco c3
Source Flipkart

Specification's: Poco C3 Smartphone ke andar bhi baki Smartphone ke ki tarah hi Mediatek ka G35 Processor dekhne ko milta hain. Jo thik thak Gaming and daily basis uses ke liye thik hai.

Camera:Poco C3 Smartphone par aapko Cameron setup par thoda unique dekhne ko milta hai. Yaha par aapko Primary sensor 13 MP aur 2+2 (Macro+Depth) sensors ke saath dekhne ko milta hain and Selfie par 5 MP ka primary sensor dekhne ko milta hain. Poco C3 ke Rear and Front dono taraf daylight par thik thak images capture karleta hain.👇👇

Poco c3 Camera sample
Source Flipkart


Display & Battery:Poco C3 phone ke andar bhi baki Smartphone ke jaise hi 6.53 inch HD+ display and 5000 MAH ki battery dekhne ko milta hain. Jo achha battery backup aur clarity de deti hai.

Poco c3, Poco c3 images
Source Flipkart


OS:Poco C3 Smartphone par G35 Processor ke sath MiUi 11 jo Android 10 par based hai. Aur ye Poco Launcher par hain.

Conclusion:Aagar aapko iss phone buy karna hai toh kar sakte hai kiyu ki ye Smartphone aapko realme C11 se much better value provide karta hai Realme C11 2Gb/32Gb ka price ₹7499 parta hai jab ki Poco C3 3/32 Gb ₹6999 par mil raha hai. Agar aapko buy karna hai toh niche Flipkart ka Link hai waha se purchase kar sakte hai.

[3/32Gb ₹6999]https://www.flipkart.com/poco-c3-lime-green-32-gb/p/itmdbc41b273ff7c?pid=MOBFVQJ5RMHGCWHF&lid=LSTMOBFVQJ5RMHGCWHFQV9OOD&marketplace=FLIPKART&pageUID=1614177485294

[4/64Gb ₹7999]https://www.flipkart.com/poco-c3-arctic-blue-64-gb/p/itm7f632fdb49b3b?pid=MOBFVQJ5NV9ZSYEF&lid=LSTMOBFVQJ5NV9ZSYEFDNRK58&marketplace=FLIPKART&pageUID=1614177627890

Position No.4[Infinix Smart 5]

  Intro:Aab jo Smartphone ki baat hum kar rahe hai ye ek all rounder Smartphone hai aur ye aata hai Infinix ki taraf se Infinix Smart 5. Iss Smartphone ka design, build quality, performance, camera, battery everything next level hai. Aab aap ye bologe toh ye Position No.4 par kiyu aya, toh Chaliye iske bare me baat karte hain.

Infinix smart 5, Infinix Smart 5 Image
Source Flipkart


Specification's:Infinix smart 5 ke andar Mediatek ka Helio G25 ka Processor dekhne ko milta hai Jo G35 se thoda Slow hai. Jo day to day life par bhout achha performance dene wala hai. Multitasking, Media Consumption, and thodi bhout halki Gaming ke bhi capable hai jaise ki-Temple Run, Candy Crush.

Camera:Infinix Smart 5 ke andar aapko 13+2 MP ka Low Light sensor dekhne ko milta hain aur front par 8 MP ka Selfie sensor dekhne ko milta hai. Jo really me bhout hi achha photos capture kar leta hai.
Infinix smart 5, Infinix Smart 5 image
Source Flipkart



Display & Battery:Infinix Smart 5 ke andar 6.83 inch ka HD+ plus display dekhne ko milta hai jo sahi me bhout bara hota hai. Aur ye Smartphone un logo ke liye sahi hoga jo bhout ziyada Videos ko dekhte hain ya phir bhout ziyada Multi Tasking karte hain Aur Specialy ye Smartphone un logo ke liye hai Lockdown ke andar ghar par baithkar online class karna chahte hai un logo ke ye Smartphone best hone wala hai. Aab baat hoti hai battery ki aur iss Smartphone par aapko 6000 MAH ka Big Battery dekhne dekhne ko milta hain Jo lambe times tak aapko battery backup dene wala hai.

OS:Infinix Smart 5 Smartphone par Infinix ka khudka X-OS 7.0 dekhne ko milta hain Jo Android 10 par based hai.

Conclusion:Soo, Agar ek Student ho and ek aisa Smartphone dhund rahe ho jo Sasta bhi ho and Look, design, display, battery sab kuch bhout achha ho toh ye Smartphone aapke liye hai. Niche diya huwa hai waha se aap direct use purchase kar sakte hain. 

[2/32Gb ₹7199] Click here

Post a Comment

0 Comments